Google Chrome Browser Me Popups Kaise Block Kare in Hindi

Friends aaj hum janege ki Google Chrome Browser Me Popups Kaise Block Kare in Hindi . Aap sab log internet ka use to karte hi hai or aapne kai bar aisi website bhi visit ki hogi jaya par aapke jate hi popups hi popups aapke samne aa rahe hoge vo chahe email marketing vale ho ya kisi advertise ke honge . In sab popups ko dekh ke aapka dimaak bhi kharab ho gaya hoga kuki inse badi problem hoti hai . Kai bar to kahi ka kahi click ho jata hai or bahut hi ganda feel hota hai . Fir aapne apne man me socha hoga ki ye Popups ko kaise block karte hai ya in Popups ko kaise disable kare . Is liye aaj me aapko batane vala hu ki chrome me pop ups ko block kaise karte hai . Aap dhyaan se is post ko padhte rahiye .
Google chrome ko bahut sare log use karte hai or india me computer user ho chahe mobile user, google chrome browser sabse jyada use hota hai . Computer me jab popups aate hai to hum kisi tareh se unko manage kar lete hai , par mobile me jab is type ke popups kisi website par aate hai to kafi jyada problem ho jati hai . Jitne bhi browser hai jaise google chrome, Firefox, Opera, UC Browser in sab me phale se hi popups blocker rahta hai . Par bahut sare user ko iske bare me koi jankari nahi hoti hai jiski vajeh se vo paresaan rahte hai . Aaj hum google chrome ke popups block karne vale feature ke bare me janege .
Google Chrome Browser Me Popups Kaise Block Kare in Hindi
Google Chrome me pop-ups ko block karna bahut hi aasan hai, bahut hi simple steps hai . Google chrome me by default popups block rahte hai par aap ek bar in settings ko check kar le ki aapke browser me sahi hai ki nahi . Me aapko google chrome browser me popups ko block karna pahle computer me bataunga uske baad hum mobile se chrome browser me popups ko kaise block karte hai usko janege . To chaliye ek ek kar ke steps ko sikhte hai pahle computer me fir mobile me .
Computer se Google Chrome Browser Me popups Kaise Block Kare
Computer me jyada tar log internet chalne ke liye google chrome ka use karte hai . Maira bhi favourite browser google chrome hi hai . Kai baar hum internet pe kuch site me jate hai jaha bar bar popups aate rahte hai, Or jo hum kar re hote hai usse hamara dyaan idhar udhar chala jata hai , Kai baar to in pop-ups ki vajah se dimak ki dahi ho jati hai . Computer me hum google chrome ki settings se in popups ko aaram se rok sakte hai . Niche diye huve simple steps follow kare .
Step 01 : Apne desktop me Google chrome browser ko open kare , Chrome open karne ke bad niche ke steps ko kare . niche image dekhe .

Google Chrome Browser Me Popups Kaise Block Kare in Hindi
- Chrome me top right side me aapko Tin dot dikhai denge , Tin Dot par click kare . Uper image me point 1 dekhe .
- Tip Dot par click karte hi aapke samne ek menu sa open hoga , Isme aap Settings par click kare , Uper image me point 2 dekhe .
Step 02: Settings par click karte hi aap google chrome ki settings me chale jayenge . Yaha par aap page ko scroll kare or niche ki taref jaye page ke niche aapko Advanced likha huva dikhai dega . Advanced par click kare . Niche image ko dekhe .

Google Chrome Browser Me Popups Kaise Block Kare in Hindi
Step 03: Advanced par click karte hi aapke samne or settings show hone lagengi , Ab aap Content settings par click kare . niche image me dekhe .

Google Chrome Browser Me Popups Kaise Block Kare in Hindi, Google chrome content settings
Step 04: Content settings par click karte hi aap google chrome ki content settings me chale jayenge , yaha par aapko Popups likha huva dikhai dega , Popups settings me jane ke liye Popups Par click kare . Niche image me dekh kar samjhe .

Google Chrome Browser Me Popups Kaise Block Kare in Hindi, Google Chrome Popups settings
Step 05: Popups par click karte hi aap popups ki settings me chale jayenge , yaha se aap google chrome me popups ko block or allow kar sakte hai . By default popups block rahte hai par aap ek bar check kar ke confirm kar le . Niche image me red box ke ander jo setting hai isse aap popups ko block kar sakte hai . Ek baat or niche image me jo green box me jo settings hai inse aap kisi bhi particular site me popups ko Block or Allow kar sakte hai .

Google Chrome Browser Me Popups Kaise Block Kare in Hindi, Google Chrome Popups settings
Friends is tareh se aap google chrome me popups ki settings ko manage kar sakte hai or Google chrome me pop ups ko block kar sakte hai . Hamne aapko abhi computer se google chrome browser me popups ko block karna bataya . Agar isko karne me aapko koi bhi problem aa rahi hai to aap niche comment kar ke hame bataye ham aapki jarur help karenge . Chaliye ab ham ye jante hai ki mobile se google chrome me pop ups ko block kaise karte hai .
Ye Bhi Jane :
- Google Chrome Browser Me Default Download Folder Kaise Change Kare
- Browser Search History Delete Kaise Kare in Hindi
Mobile Se Google Chrome Browser Me Popups Kaise Block Kare
Mobile me bhi aap google chrome ka use karte hi honge or mobile me chrome browser me internet chalate chalte kai baar ham aisi websites ko visit karte hai jaha pop ups aate rahte hai jisse mobile me bahut problem hoti hai . Lakin aap bade aaram se is problem se chutkara pa sakte hai . Bas hame kuch aasan si settings ko karna hai . Chaliye jaldi se in settings ko jante hai .
Step 01: Android mobile me google chrome me popus ko block karne ke liye sabse pahle aap apne mobile me google chrome browser ko open kare . Open karne ke baad niche ke step ko kare . niche image ko dekhe . chrome me popups ko disable karne ke liye hame settings me jaana hai .

Google Chrome Browser Me Popups Kaise Block Kare in Hindi, google Chrome settings in mobile
- Google chrome browser ko open karne ke baad top right side me appko Tin dot dikahi denge us par click kare . uper image me point 1 dekhe .
- Jaise hi aap top right side me Tin Dot par click karenge aapke samne ek menu open ho jayega, yaha par aapko Settings ke uper click karna hai . Uper image me point 2 ko dekh kar samjhe.
Step 02: Settings par click karte hi aap google chrome ki settings me chale jayenge . Niche image ko dekhe or aage ke step ko samjhe .

Google Chrome Browser Me Popups Kaise Block Kare in Hindi
- Google chrome ki settings me jane ke baad ab hame yaha par Site settings par click karna hai . Uper image me point 1 dekhe .
- Site settings par click karte hi aap google chrome ki site settings aapke samne open ho jayegi, yaha par aap Pop-ups par click kare . uper image me point 2 dekhe .
Step 03: Pop-ups par click karte hi aapke samne google chrome ki pop-ups ki setting aa jayegi . Niche image dekhe , Yaha se aap google chrome me pop-ups ko allow or block kar sakte hai . By default google chrome me popups block hi rahte hai .

Google Chrome Browser Me Popups Kaise Block Kare in Hindi
Friends is tareh se aap Android mobile ka use kar ke google chrome browser me pop-ups ko block kar sakte hai . Jaisa ki maine aapko pahle hi bataya ki by default pop-ups block rahte hai , par aap ek bar isko check jarur kar le . Umied hai ki ab aap jaan chuke honge ki android version ke google chrome me pop-ups ki settings kaha par hoti hai or aap isko kaise apne hisab se set kar sakte hai .
Ye Bhi Jane :
- Android Mobile Se Computer Me Internet Kaise Chalaye
- Google Play Store Ke Secret Tips and Tricks
- Gmail Par Galati Se Send Email Ko Vapes Kaise Kare
- VLC Media Player Se Video Download Kaise Kare
Aapko hamri ye jankari Google Chrome Browser Me Popups Kaise Block Kare in Hindi kaisi lagi hume comment kar ke jarur bataye , Popups block karne ke baad ab aapke samne faltu ke popups nahi aayenge , Agar is jankari se aapki help hui ho to apne friends or family ke logo ke sath is information ko share kare or unki bhi help kare . Agar in settings ko karne ke baad bhi popups aa rahe hai to aap ad-blocking extension ko google chrome me instal kar sakte hai .
Nice article bro thanks for sharing this article
Thanks for comment Ramananda Das !